Thursday 24 January 2019

Swift code kya hota hai swift code kaise pata kare

By:   Last Updated: in:

Hello doston apka bahut bahut swagat hai Support Me Next me. Mai aaj aapko bataunga ki swift code kya hota hai. Aur iska use kaha kaha par karte hai. Swift code Ka istemal international bank me paisa bhejne aur paisa lene ke kam aata hai.

Swift code kya hota hai iska kya use hai

Agar aap ek blogger ya freelancer user hai to aap hamesha apne bank account me dusre client se NEFT ya IMPS se hi paise parapt kiye honge. To aap logo ko pata hoga ki aap hoga ki bharat me kisi ek bank se durse bank me paise transfer karne ke liye kis kis detail ki jarurat hoti hai
Aapka bank account name aur bank account number.

Swift code

Aapke bank ka IFSC Code

IFSC code national level Ka code hota hai. Ye har bank ke alag alag branch ka alag alag number hota hai. IFSC code ka istemal india ke kisi bhi bank me paise bhejane ke liye kiya jata hai. Har branch ka alag IFSC code hota hai. Jaise india me paise bhejane ke liye IFSC code ka use kiya jata hai. Waise hi india se bahar paise bhejne aur recieve karne ke liye swift code ka use kiya jata hai. Swift code ka full form hota hai : Society for Worldwide Interbank Financial Telecommunication

Jaise india me IFSC code ki madad se bank account ek bank se dusre bank me paisa aasani se bhej deta hai. Usi tarah swift code ki madad se international bank india me pause send karta hai. Sabhi bank ka ek unique swift code hota hai jiski madad se paise bheje jate hai.
Google Adsense se bhi paise lene ke liye bank detail ke sath swift code dala jata hai. Jiski madad se adsense hamaare account me paye send karta hai.

bank ka swift code kaise pata kare

Sabse pehle apne Web browser me niche diya gya link khole
https://www.ifscswiftcodes.com/Bank-SWIFT-Codes/
Uske baad aapko niche diye gaye image ki tarah page show hoga.
Is page me aap apne bank ka swift code 3 tariko se pata kar sakte hai.
1. Apne bank ka name sidha search box me search karke.
2. Apne bank branch ko alphabet order me browse karke.
3. Ya phir apne country ke hisab se.
Ummid karta hu dosto aapko pata chal gya hoga ki swift kya hota hai aur apne bank ka swift code kaise pata karte hai. Agar doston aapko ye post acchi lagi to apne doston ke sath share kare air comment me hume bataye ki post kaisi lagi

Sign up email newsletter to receive email updates in your email inbox!

Previous
Next Post
No comments:
Write comment